Jambudweep - 7599289809
encyclopediaofjainism@gmail.com
About Us
Facebook
YouTube
Encyclopedia of Jainism
  • विशेष आलेख
  • पूजायें
  • जैन तीर्थ
  • अयोध्या

Morning prayer (Usha Vandana)

March 17, 2023Study MaterialHarsh Jain

Morning prayer (Usha Vandana)


Utho Bhavya Khil Rahi Hai Usha, Tirth Vandana Stavan Karo ,
Aarta Raudra Durdhyan Chhod Kar , Shri Jinvar Ka Dhyan Karo. (1)

Ashtapad Se Rishabhdev Jin , Vasupujya Champapur Se
Urjayant Se Shri Nemishwar, Mukti Gaye Vandon Ruchi Se. (2)

Pavapuri Sarovar Se Isa Usha Kaal Me Shri Mahavir ,
Vidhut Klesh Nirvana Gaye Hain, Namon Unhain Jhat Ho Bhavteer. (3)

Bees Jineshvar Moksh Gaye Hain , Shri Sammed Shikhar Giri Se,
Aur Asankhya Sadhugan Bhi, Shiv Gaye Unhain Vandon Ruchi Se. (4)

Jinvar Gandhar Munigan Ki, Nirvan Bhumiyan Sada Namo,
Panch Kalyanak Bhumi Tatha Atishayayut Kshetra Sabhi Pranamo. (5)

Shalipisht Bhi Sharkarayut, Madhurya Swadkari Jaise ,
Punya Purush Ke Pad Raj Se Hi, Dhara Pavitra Hui Vaise. (6)

Tribhuvan Ke Mastak Par Siddha-Shila Par Siddha Anantanant,
Namo Namo Tribhuvan Ke Sabhi Tirth Ko Jisse Ho Bhav Ant. (7)

Tirth Kshetra Vandan Se Nantanant, Janma Krit Paap Haro,
Samyak Gyanmati Shraddha Se, Shighra Siddha Sukh Prapt Karo. (8)



Tags: Bal Vikas Part-2
Previous post Four Auspicious (Mangals ) Next post Importance Of pilgrimages (Holy Places)

Related Articles

मिथ्यादर्शन

August 10, 2013jambudweep

स्थावर जीव

February 19, 2017jambudweep

Sthavar living beings

February 16, 2023Harsh Jain
Privacy Policy